Dil kashi ka alam samjh ska na dilnashi,
Pyala deta gya pi gya berukhi,
Na jane kaisa tha ye nasha ,
Bas wo pita raha , bas wo pita raha ,
Paas baitha raha ,
Nazare uspar gadaye rakha,
Pyas kaisi ye thi , jo ki bhujhti nahi,
Pyala pita raha ,
Bas wo pita raha , Gum ka mara hua
Dil k tukde ko lekar bhatakta raha ,
Mil gya hai sagar ,
Maat dene k liye pyash ko,
Maat khata raha, par wo pita raha,
Aag bujhti nai, ab lagi ish dil me jo,
Wo pita gya, pyash badata gya,
Dil lagi ka ye aalam chalta raha ,
Wo pita raha , bas wo pita raha .
Krishna
No comments:
Post a Comment